Header Ads

Windows Reseller Hosting

Google Blogger vs WordPress kaun sa platform Blog ke liye best hai

Blogging ke liye Google Blogger aur WordPress dono hi platform best hai . Par ye depend karta hai ki hume kon platform select karna hai. First time jaab hum Blog start karte hai toh ye decide karna thoda muskil hota hai ki kaun sa platform select kare. Agar aap first time Blog start karna chahte hai toh Google Blogger sab se best Option hai.

[caption id="attachment_619" align="aligncenter" width="733"]WordPress vs Google Blogger WordPress vs Google Blogger[/caption]

Google Blogger


Friends jab hum first time Blogging start karna chahte hai tab hume Blogging ka itna knowledge nahi hota hai, Toh Blogging start karte waqt Hume jayada paisa investment nahi karna chaiye. Jab Blogging start karte hai tab hume Google Blogger se hi start karna chaiye kyu ki Google Blogger mein Blog Account Create karna bilkul free hota hai. Basic Blogging knowledge nahi bhi rha toh bhi hum Google Blogger mein kaam kar sakte hai.

Google Blogger ka benefit kya hai



  1. Google Blogger mein Blog Account create karna bilkul free hai,

  2. Google Blogger main Google ka free SUB Domain name milta hai,

  3. Google Blogger mein Blog Account create karne par hume dusra koi Hosting service nahi lena padta hai kyu ki Google Blogger mein hume free Unlimited Hosting service milta hai.

  4.  Google Blogger mein Free Blog theme bhi available hai aur hum Blogger mein customize theme bhi laga sakte hai,theme ka background aapne hisaab se customize  bhi kar sakte hai.


Toh ye sab se Best option hai agar aap Blog start karna chahte hai toh bina koi Investment ka Google Blogger se Blog aasani se start kar sakte hai. Agar aap Google Blogger Blog Account mein aapna custom Domain name bhi add kar sakte hai.

Domain name Buy karne ke liye   Ye Buy now bottom par click kare aur aapna khud ka Domain Register kare .

WordPress Blog


Agar aap ek Professional Blogger hai toh aap ka Blog bhi professional hona chaiye. WordPress mein hum aapne hissab se aapna Website aur Blog ko Customize kar ke ek Professional Blog ya Website Create kar sakte hai. WordPress sab se best Hosting service mein se ek hai.

WordPress ka Benefit



  1. WordPress mein hum aapne Blog / Website ko ek professional look de sakte hai.

  2. WordPress mein hume bahut saara free theme milta hai jisse hum aapne Blog / Website ke hissab se Customize kar ke theme ko laga sakte hai, Aur WordPress mein jo bhi themes available hai woh sare themes SEO Friendly hota hai.

  3. WordPress mein hume plugin option milta hai, Jisse hume koi plugin Like - Contact Form, SEO plugin etc koi bhi plugin hume aapne site ke hissab se mil jata hai,

  4. WordPress mein Hum sab se best SEO plugin bhi milta hai jisse humare Website / Blog ko search engine mein rank karana bahut aasan hota hai aur hume aapne sites par traffic jayada milta hai.


Agar professional Website / Blog Create karna chahte hai toh uss ke liye WordPress sab se best option hai. Friends WordPress Buy karna hota hai. Jab hum koi bhi Hosting service Buy karte hai tab hume WordPress including milta hai. Market mein bahut sare Hosting service ka company hai par jab bhi koi Hosting service Buy karte hai tab ek chiz ka dhiyan jarur rakhe Hosting Company ka profile aur Company review jarur check kare kyu ki aapka Blog / Website pura Hosting ke upar hi chalta hai agar koi company new hai toh unka Hosting service lena aapne Website/Blog ke liye aacha nahi hota hai.

Finally Mujhe ummid hai ki aap ko Google Blogger vs WordPress ka deference samaj aa gya hoga agar aap ko koi chiz nahi samaj aaya hai toh please mujhe comments kare Thank You

 

Best Hosting Service and Domain name Buy karne ke liye    Buy now ke option par click kare aur Best deal ke sath aapna Hosting / Domain Buy kare.

3 comments: